ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai

By qateel-shifaiNovember 12, 2020
ek jam khanakta jam ki saqi raat guzarne wali hai
ek hosh-ruba inam ki saqi raat guzarne wali hai
wo dekh sitaron ke moti har aan bikharte jate hain
aflak pe hai kohram ki saqi raat guzarne wali hai


go dekh chuka hun pahle bhi nazzara dariya-noshi ka
ek aur sala-e-am ki saqi raat guzarne wali hai
ye waqt nahin hai baaton ka palkon ke sae kaam mein la
ilham koi ilham ki saqi raat guzarne wali hai


mad-hoshi mein ehsas ke unche zine se gir jaane de
is waqt na mujh ko tham ki saqi raat guzarne wali hai
16391 viewsghazalEnglish