ek junun apna libaada ho gaya
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
ek junun apna libaada ho gaya
aasman sa dil bhi sada ho gaya
sahw-sajda ki bhi gunjaish nahin
ek ta'alluq be-irada ho gaya
ruh thi us ki sada se be-niyaz
jism se hi istifada ho gaya
apna rishta jis se ho sakta nahin
wasl aisa khanwada ho gaya
bund bhar tha chahaton ka silsila
aankh mein pani ziyaada ho gaya
rah roki hai ujale ne meri
ban ke diwar istada ho gaya
aasman sa dil bhi sada ho gaya
sahw-sajda ki bhi gunjaish nahin
ek ta'alluq be-irada ho gaya
ruh thi us ki sada se be-niyaz
jism se hi istifada ho gaya
apna rishta jis se ho sakta nahin
wasl aisa khanwada ho gaya
bund bhar tha chahaton ka silsila
aankh mein pani ziyaada ho gaya
rah roki hai ujale ne meri
ban ke diwar istada ho gaya
20289 viewsghazal • English