ek kahani khatm hui hai ek kahani baqi hai main be-shak mismar hun lekin mera sani baqi hai dasht-e-junun ki khak udane walon ki himmat dekho tut chuke hain andar se lekin man-mani baqi hai hath mere patwar bane hain aur lahren kashti meri zor hawa ka qaem hai dariya ki rawani baqi hai gahe gahe ab bhi chale jate hain hum us kuche mein zehn buzurgi odh chuka dil ki nadani baqi hai kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai nai nai aawazen ubhrin 'pashi' aur phir dub gain shahr-e-sukhan mein lekin ek aawaz purani baqi hai