ek kaif-e-sarmadi se khelta rahta rahun main

ek kaif-e-sarmadi se khelta rahta rahun main
bandagi mein bandagi se khelta rahta hun main

raat din zinda-dili se khelta rahta hun main
ranj-o-gham mein bhi khushi se khelta rahta hun main

aaj-kal akhtar-shumaron mein hai mera bhi shumar
raat mein bhi raushni se khelta rahta hun main

maut mein hi zindagi hai misl-e-parwana meri
shama ki tabindagi se khelta rahta hun main

tauq-e-gardan se mila zauq-e-giranbari mujhe
lekin is mehnat-kashi se khelta rahta hun main

banda-e-mazdur ki izzat bachane ke liye
izz-o-jah-e-qaisari se khelta rahta hun main

bar-e-khatir ban gai go yar-e-shatir ki bisat
lekin us par sadgi se khelta rahta hun main

allah-allah mera shauq-e-jazb-e-kaamil dekhna
fikr-e-wahdat mein doi se khelta rahta hun main

wo mere aiwan-e-gham mein zinat-e-guldasta hai
phul ki afsurdagi se khelta rahta hun main

wo ye kahte hain ki fursat mein bahal jata hai dil
apne ‘ahsan-kazmi' se khelta rahta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close