ek kamra ghazal kitaben gham
By aditya-tiwari-shamsFebruary 22, 2025
ek kamra ghazal kitaben gham
khwab wo kuchh kahaniyan aur hum
thokaren hijr hajaten aur main
ek hi zakhm hai kai marham
zindagi si hain teri zulfen aur
hadson se hain in mein pech-o-kham
naukri nam aur shohrat mein
shukr hai bant gae hain mere gham
jo qalandar hai ek riyasat ka
us ko tohfe mein khak denge hum
hai kisi 'shams' ki nazar us par
is se anjaan hai koi shabnam
khwab wo kuchh kahaniyan aur hum
thokaren hijr hajaten aur main
ek hi zakhm hai kai marham
zindagi si hain teri zulfen aur
hadson se hain in mein pech-o-kham
naukri nam aur shohrat mein
shukr hai bant gae hain mere gham
jo qalandar hai ek riyasat ka
us ko tohfe mein khak denge hum
hai kisi 'shams' ki nazar us par
is se anjaan hai koi shabnam
43946 viewsghazal • English