ek Khaali chand hi lab-e-ju rakhna tha

ek khali chand hi lab-e-ju rakhna tha
us ke hijr ka ye bhi pahlu rakhna tha

sab ka daman motiyon se bharne wale
meri aankh mein bhi ek aansu rakhna tha

suraj karna tha meri peshani ko
is mitti mein ye bhi jadu rakhna tha

kis ki aankhen kahan ki aankhen harf huin
patthar the to khud par qabu rakhna tha

kiya tha us ke nam ki lau ko raushan jab
dilon mein aks-e-khiram-e-ahu rakhna tha

jab hasil la-hasil donon ek se the
phir khud ko na asir-e-man-o-tu rakhna tha

yaad ka khanjar utarna tha sine mein
der tak ek manzar ko khushbu rakhna tha

ek aalam se bhar kar us ki jholi 'tur'
apni hatheli par barg-e-hu rakhna tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close