ek khwab nind ka tha sabab, jo nahin raha us ka qalaq hai aisa ki main so nahin raha wo ho raha hai jo main nahin chahta ki ho aur jo main chahta hun wahi ho nahin raha nam dida hun, ki teri khushi par hun khush bahut chal chhod, tujh se kah jo diya, ro nahin raha ye zakhm jis ko waqt ka marham bhi kuchh nahin ye dagh, sail-e-girya jise dho nahin raha ab bhi hai ranj, ranj bhi khasa shadid hai wo dil ko chirta hua gham go nahin raha aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai? tujh se bichhad raha hun tujhe kho nahin raha kya be-hisi ka daur hai logo ki ab khayal apne siwa kisi ka kisi ko nahin raha