ek KHwab thi zindagi hamari

ek khwab thi zindagi hamari
phir aankh nahin khuli hamari

duniya se bhi phir nahin mile hum
wo bhi to kabhi na thi hamari

din dhal gaya khwab dekhne mein
kat jaegi raat bhi hamari

palkon pe ye phul aansuon ke
sahra ki ye ret bhi hamari

ek dhyan ki lahr ne duboya
ek yaad na ho saki hamari

tapon ki sada si us ke gham ki
be-tegh sipah thi hamari

kab ho gai mere qad se unchi
diwar ye bich ki hamari

dekha to har aaine mein hum the
khud se hui baat bhi hamari

aae ho to ye ghazal bhi sun lo
be-waqt ki ragni hamari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close