ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simte to dil-e-ashiq phaile to zamana hai ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai wo aur wafa-dushman manenge na mana hai sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai shair hun main shair hun mera hi zamana hai fitrat mera aaina qudrat mera shana hai jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi musibat hai apna hi fasana hai kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai hum khak-nashinon ki thokar mein zamana hai aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai aankhon mein nami si hai chup chup se wo baithe hain nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai ya wo the khafa hum se ya hum hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai thodi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije ek aag ka dariya hai aur dub ke jaana hai khud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai taswir ke do rukh hain jaan aur gham-e-jaanan ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna jine ki tamanna hai marne ka zamana hai mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai khuddari-o-mahrumi mahrumi-o-khuddari ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamana hai ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein masum mohabbat ka masum fasana hai aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin bandh jae so moti hai rah jae so dana hai