ek mohabbat thi jo thi tartib mein warna shai thi kab koi tartib mein hum tujhe kaise banate ham-safar hum jiye the zindagi tartib mein maut ka kuchh dar nahin hota mujhe zindagi meri kati tartib mein ab tu apne ishq ka qissa suna dastan apni to thi tartib mein dil se us ki yaad ko rukhsat karo taki aae zindagi tartib mein taki ab apna nasheman ban sake khud ko le aa to kisi tartib mein waqt par taron ne chhoda aasman raat din mein dhal gai tartib mein nam tera aur mera joda gaya aur aai har khushi tartib mein chhod 'ahmad' ab ye be-tartibiyan khud ko ab le aa kisi tartib mein