ek muddat ho gai gham se shanasai hue hum use apna samajh kar us ke shaidai hue jab khulus-e-yar mein shamil tasanno ho gaya hum bhi kya karte asir-e-dasht-e-tanhai hue faslon ne qurbaton par dal di hai khak si ek arsa ho gaya hai bazm-arai hue khul gae yak-lakht un par sab maani husn ke hum se milte hi wo khud aagah-e-ranai hue yun jala dale to the hum ne tumhaare sab khutut kuchh ki chehre par likhe jo wajh-e-ruswai hue hum ne khwabon mein basa rakkha tha jis ko ai 'nasim' khinch kar daman wahi mahw-e-khud-arai hue