ek muflis ka guzar bazar se hota hua
By ali-tasifJune 3, 2024
ek muflis ka guzar bazar se hota hua
khud kahani ban gaya kirdar se hota hua
phal to kya sae pe us ke haq nahin mera koi
jo shajar ghar aa gaya diwar se hota hua
tutta kab hai junun ka rabta is dasht se
ab bhi aata hun magar ghar-bar se hota hua
tum hatheli par jahan sarson jamane aae ho
pir aata hai wahan itwar se hota hua
ek muddat dar-ba-dar ki thokaren khane ke ba'd
khud mein aaya main dil-e-gham-khwar se hota hua

56984 viewsghazal • English