ek murgh-e-chaman waqt-e-sahar bol raha hai sayyaad ka har raaz-e-nihan khol raha hai jazbaat ki lahron pe tarannum ke ye naghme ye kaun hai kanon mein jo ras ghol raha hai haq baat ki azmat ka to qail hai zamana sachchai ka moti bahut anmol raha hai kyon raaz tere dil ka hua jata hai ifsha jadu hai jo sar chadh ke tere bol raha hai har baat kasauti pe jo rakhta hai zamana har harf tamanna ka teri tol raha hai jab sar se kafan bandh ke tu ghar se chala hai kyon azm tera waqt-e-safar dol raha hai kahte hain 'jamil' aap ko begana-e-hasti ye raaz sar-e-bazm koi khol raha hai