ek na ek shaKH tamanna ki hari rahti hai
By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
ek na ek shakh tamanna ki hari rahti hai
phul mil jae to kanton ki kami rahti hai
dast-e-qabu se bahut dur nikal jati hai
dil mein jo hasrat-e-nakaam dabi rahti hai
aisa lagta hai ki duniya ne sataya hai bahut
har dam us shakhs ke honton pe hansi rahti hai
‘adl-o-insaf shahanshah ke aiwan mein kahan
dekhne ke liye zanjir lagi rahti hai
teri yaadon ke siwa kaun yahan aata hai
kis ki khushbu mere kamre mein basi rahti hai
'ishq har aan hawadis mein ghira rahta hai
husn walon ko mohabbat ki padi rahti hai
guzar-auqat ki kya puchh rahe ho 'irfan'
din guzarte hain magar raat khadi rahti hai

31893 viewsghazal • English