ek nadi mauj-dar-mauj pahlu badalti rahi

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
ek nadi mauj-dar-mauj pahlu badalti rahi
ek kashti bade rakh-rakhaw se chalti rahi
ek parinda hua aab-o-dane ki khwahish mein gum
ek tahni ke dukh mein hawa hath malti rahi


ek sitara kahin aasman par ulajhta raha
ek angnai mein raat-bhar aag jalti rahi
ek shajar shakh se shakh ke faslon par jiya
ek diwar do ghar bichhadne se palti rahi


ek sada ne kai jal sahraon par bun diye
ek sargoshi aabaadiyon ko nigalti rahi
ek masafat mukammal hui nind hi nind mein
ek sapne mein din ki thakan pankh jhalti rahi


ek daricha bulata raha apni aaghosh mein
ek aawargi ghar se le kar nikalti rahi
46140 viewsghazalEnglish