ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam zulf aawara gareban chaak ghabrai nazar in dinon ye hai jahan mein zindagani ka nizam chand tare tut kar daman mein mere aa gire main ne puchha tha sitaron se tere gham ka maqam kah rahe hain chand bichhde rahrawon ke naqsh-e-pa hum karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam pad gain pairahan-e-subh-e-chaman par silwaten yaad aa kar rah gai hai be-khudi ki ek sham teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni waqt ke bazar mein har chiz ke lagte hain dam hum banaenge yahan 'saghar' nai taswir-e-shauq hum takhayyul ke mujaddid hum tasawwur ke imam