ek nai dastan sunane do
By aisha-ayubMay 29, 2024
ek nai dastan sunane do
aaj ki nind phir ganwane do
bediyan tod kar samajon ki
'ishq mein qaid hain diwane do
mere mazi ke regzaron mein
khat mile hain mujhe purane do
aaj roenge hum bhi ji bhar ke
gham to bas ek hai bahane do
us ko aazad kar chuki hun main
phir bhi kahta hai mujh ko jaane do
ek chehre se main pareshan hun
ab mujhe aaine sajaane do
raqs karti hai mujh mein khamoshi
thak gai hai use sulane do
aaj ki nind phir ganwane do
bediyan tod kar samajon ki
'ishq mein qaid hain diwane do
mere mazi ke regzaron mein
khat mile hain mujhe purane do
aaj roenge hum bhi ji bhar ke
gham to bas ek hai bahane do
us ko aazad kar chuki hun main
phir bhi kahta hai mujh ko jaane do
ek chehre se main pareshan hun
ab mujhe aaine sajaane do
raqs karti hai mujh mein khamoshi
thak gai hai use sulane do
94708 viewsghazal • English