ek nai subh ka aaghaz hai anjam ke baad phir wahi silsila-e-ishq hai ilzam ke baad jaane kya hoga meri sai-e-talab ka hasil zehn mein kuchh nahin mahfuz tere nam ke baad sehn-e-gulshan mein bahaaron ka nishan tak bhi nahin khak udti hai faqat gardish-e-ayyam ke baad subh se karb-o-aziyyat ka ye aalam tauba dard kuchh aur siwa hota hai har sham ke baad us se pahle to har ek azm-o-amal hai be-sud qalb-e-muztar ko sukun milta hai aalam ke baad us ne kuchh aur khitabaat diye hain khat mein sath wahshi bhi likha hai mujhe badnam ke baad meri jaanib bhi khizar bazm-e-adu mein ek din us ki makhsus nazar thi nigah-e-am ke baad