ek nai tahzib ka aaghaz hai urdu ghazal husn ki ta'rif ka andaz hai urdu ghazal jaane kis kis ne lahu de kar sanwara hai ise daur-e-hazir mein magar na-saz hai urdu ghazal sha'iron ke khwab ki taswir banti hai kabhi dastan-e-'ishq mein parwaz hai urdu ghazal daur-e-hazir ki haqiqat bhi bayan ye kar rahi 'mir'-o-'ghaalib' se mila e'jaz hai urdu ghazal husn ki gahraiyon mein dub kar dekho zara 'ishq mein lipti hui gul-naz hai urdu ghazal nazm ho ya ho ruba'i kahiye ya qit'a janab sha'iri ki sinf ka shahbaz hai urdu ghazal 'mir' 'ghaalib' 'dagh' 'momin' 'jaun' 'rahat' ne kaha har qalam bola yahi mumtaz hai urdu ghazal dil dhadak jate hain bas ek husn ki angdai par aaj 'atish' ki wahi hamraaz hai urdu ghazal