ek nam hi ke bais adab hai kamal hai

By om-prakash-meghwanshiNovember 12, 2020
ek nam hi ke bais adab hai kamal hai
dikhta nahin hai phir bhi wo rab hai kamal hai
hote hue bhi mera yahan kuchh nahin aziz
wo hai nahin par us ka ye sab hai kamal hai


main khak tha so khak ko phir khak hona hai
ye waqia bhi dukh ka sabab hai kamal hai
13360 viewsghazalEnglish