ek nazar hum pe bhi ho sanam kam se kam

By nazeer-nadirJanuary 22, 2022
ek nazar hum pe bhi ho sanam kam se kam
dur ho jaen dard-o-alam kam se kam
apne jalwon ki duniya idhar bhi saja
taki ho mera ghar bhi iram kam se kam


ishq mein fakhr se pa-ba-zanjir hun
tute hargiz na us ka bharam kam se kam
nauhe shikwe ki be-shak nafi hi sahi
dard itna ki ho aankh nam kam se kam


lutf-e-aish-o-tarab ki nahin hai talab
main rahun tere bas ham-qadam kam se kam
pyar tu mujh se kar ya na kar gham nahin
han magar kar na mujh par sitam kam se kam


sher likhna hai 'nadir' khuda waste
de de kaghaz siyahi qalam kam se kam
48966 viewsghazalEnglish