ek pal ki dauD dhup mein aisa thaka badan

By prem-kumar-nazarNovember 12, 2020
ek pal ki daud dhup mein aisa thaka badan
main khud to jagta hun magar so gaya badan
bachcha bhi dekh le to humak kar lapak pade
aisi hi ek chiz hai wo dudhiya badan


ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan
jab se chala hai tang qamison ka ye riwaj
na-ashna badan bhi lage aashna badan


ganga ke paniyon sa pawitra kahen jise
aankhon ke tat pe tairta hai jo gaya badan
bistar pe tere mere siwa aur kaun hai
mahsus ho raha hai koi tisra badan


dharti ne mausamon ka asar kar liya qubul
rut phir gai to ho gaya us ka hara badan
is ko kahan kahan se rafu kijiye 'nazar'
behtar yahi hai odhiye ab dusra badan


46288 viewsghazalEnglish