ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye do din ki zindagi ka maza hum se puchhiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum qiston mein khud-kushi ka maza hum se puchhiye aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jaaniye anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchhiye jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza hum se puchhiye wo jaan hi gae ki hamein un se pyar hai aankhon ki mukhbiri ka maza hum se puchhiye hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hansi ka maza hum se puchhiye hum tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumar' tauhin-e-mai-kashi ka maza hum se puchhiye