ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya noch kar shakhon ke tan se khushk patton ka libas zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya subh ke tare meri pahli dua tere liye tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya log malbon mein dabe sae bhi dafnane lage zalzala ahl-e-zamin ko bad-hawasi de gaya tund jhonke ki ragon mein ghol kar apna dhuan ek diya andhi hawa ko khud-shanasi de gaya le gaya 'mohsin' wo mujh se abr banta aasman us ke badle mein zamin sadiyon ki pyasi de gaya