ek parda-nashin ki aarzu hai dar-parda kahin ki aarzu hai hai bhi to unhin ka dil ko arman hai bhi to unhin ki aarzu hai hota nahin han se qaul pura ab mujh ko nahin ki aarzu hai kho aae hain ku-e-yar mein dil is par bhi wahin ki aarzu hai iman ka ab khuda nigahban ek dushman-e-din ki aarzu hai nikle bhi to teri justuju mein ye jaan-e-hazin ki aarzu hai andhera macha hua hai dil mein kis mah-jabin ki aarzu hai kyun hashr ka qaul kar rahe ho 'muztar' ko yahin ki aarzu hai