ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya ek musht-e-khak jo bikhri to sahra kar diya mere tute hausle ke par nikalte dekh kar us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya wardat-e-qalb likkhi hum ne farzi nam se aur hathon-hath us ko khud hi le ja kar diya us ki naraazi ka suraj jab sawa neze pe tha apne harf-e-ijz hi ne sar pe saya kar diya duniya bhar ki khak koi chhanta phirta hai ab aap ne dar se utha kar kaisa ruswa kar diya ab na koi khauf dil mein aur na aankhon mein umid tu ne marg-e-na-gahan bimar achchha kar diya bhul ja ye kal tere naqsh-e-qadam the chand par dekh un hathon ko kis ne aaj kasa kar diya hum to kahne ja rahe the hamza-e-ye wassalam bich mein us ne achanak nun-ghunna kar diya hum ko gali ke liye bhi lab hila sakte nahin ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya tirgi ki bhi koi had hoti hai aakhir miyan surkh parcham ko jala kar hi ujala kar diya bazm mein ahl-e-sukhan taqtia farmate rahe aur hum ne apne dil ka bojh halka kar diya jaane kis ke muntazir baithe hain jhadu pher kar dil se har khwahish ko 'adil' hum ne chalta kar diya