ek qayamat hai jawani ek qayamat hai shabab har tabassum ek tufan har nazar ek inqalab har taraf ek aah-o-zari har taraf ek iztirab kitni saughaten liye aaya hai daur-e-inqilab saghar-o-mina patak de tod de chang-o-rubab dekh sar par aa chuka hai aaftab-e-inqalab ishq ke dastur duniya se alag dastur hain is ki gumnami mein shohrat is ki khamoshi jawab ai meri nazron ki jannat kya tujhe malum hai kis ke sadqe ho rahe hain aaftab-o-mahtab main to kahta hun khuda ka shukr karna chahiye jaan de kar bhi jo ho jae mohabbat kaamyab ai dil-e-gham-ashna ab to wo hum se chhut gae aur kya is se ziyaada hoga koi inqalab un se baaten kar raha hun wo khade hain samne jagta rahta hun lekin dekhta rahta hun khwab bandishen donon taraf pabandiyan donon taraf ek paband-e-mohabbat ek paband-e-hijab mujh ko ai 'shaarib' fishaar-e-qabr ka kya khauf ho main ghulam-e-shah-e-yasrib main ghulam-e-bu-turab