ek shai ko hazar kaun kare
By priyamvada-ilhanSeptember 29, 2023
ek shai ko hazar kaun kare
main ko hum mein shumar kaun kare
is jahan ki giraniyan tauba
sar pe in ko sawar kaun kare
phir bahaaran hai phir gul-e-ummid
dil ko phir be-qarar kaun kare
zinda rahna yahan ghanimat hai
is kharabe mein pyar kaun kare
gardish-e-waqt le gaya wo sath
phir yahan intizar kaun kare
main ko hum mein shumar kaun kare
is jahan ki giraniyan tauba
sar pe in ko sawar kaun kare
phir bahaaran hai phir gul-e-ummid
dil ko phir be-qarar kaun kare
zinda rahna yahan ghanimat hai
is kharabe mein pyar kaun kare
gardish-e-waqt le gaya wo sath
phir yahan intizar kaun kare
49860 viewsghazal • English