ek shaKHs pur-waqar tha jaane kidhar gaya

By baharunnisa-baharOctober 8, 2023
ek shakhs pur-waqar tha jaane kidhar gaya
aankhon ka jo khumar tha jaane kidhar gaya
donon jahan ki wus'aten thin jis ki zat mein
anmol shahkar tha jaane kidhar gaya


tark-e-ta'alluqat ka khadsha sada raha
wo jis pe e'tibar tha jaane kidhar gaya
ehsas ka ye husn bhi bakhshish usi ki hai
meri ana tha pyar tha jaane kidhar gaya


us ka wajud hi meri kul kaenat tha
dil ka mere qarar tha jaane kidhar gaya
gesu jo khole raat ne aankhen diya banin
jo raunaq-e-'bahaar' tha jaane kidhar gaya


89795 viewsghazalEnglish