ek sukhe shajar ka saya hun

By sharafat-sameerMay 9, 2022
ek sukhe shajar ka saya hun
main bhi is dhup ki reaya hun
mujh ko rakh le samet kar dil mein
main teri aankh ka kiraya hun


tu badan ko tatolta kya hai
main teri ruh mein samaya hun
aaj se tum nahin rahe mere
main tumhaare liye paraya hun


aaj phir us ne puchha kaise ho
aaj phir jhut bol aaya hun
hijr ab ke maze mein guzrega
us ki taswir khinch laya hun


60754 viewsghazalEnglish