ek tabassum ka etibar kiya
By jauhar-abbasNovember 2, 2020
ek tabassum ka e'tibar kiya
aql ne sadgi se pyar kiya
asl se wahima tarasha aur
phir usi wahime ko yar kiya
dekhte ho hamari zud-hisi
chashm-e-ahu ne dil shikar kiya
dil pe jaez tera ijara tha
tu ne kis khauf se farar kiya
ab koi justuju nahin bhati
yun teri justuju ne khwar kiya
us ki chahat ajib thi jis ne
mere bujhne ka intizar kiya
shukr parwardigar us ne mujhe
meri hasti ka gham-gusar kiya
'mir'-sahib ko munh dikhana tha
mazhab-e-ishq ikhtiyar kiya
ye ghazal kya kahi ki phir 'jauhar'
mah-para ko be-qarar kiya
aql ne sadgi se pyar kiya
asl se wahima tarasha aur
phir usi wahime ko yar kiya
dekhte ho hamari zud-hisi
chashm-e-ahu ne dil shikar kiya
dil pe jaez tera ijara tha
tu ne kis khauf se farar kiya
ab koi justuju nahin bhati
yun teri justuju ne khwar kiya
us ki chahat ajib thi jis ne
mere bujhne ka intizar kiya
shukr parwardigar us ne mujhe
meri hasti ka gham-gusar kiya
'mir'-sahib ko munh dikhana tha
mazhab-e-ishq ikhtiyar kiya
ye ghazal kya kahi ki phir 'jauhar'
mah-para ko be-qarar kiya
69038 viewsghazal • English