ek tamasha dekhta hun rasm-e-ulfat ke KHilaf

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
ek tamasha dekhta hun rasm-e-ulfat ke khilaf
aankh hai dil ki mukhalif dil nasihat ke khilaf
sah rahi hain zulm aankhen nazm-e-qudrat ke khilaf
but-kade par jhuk raha hai dil mashiyyat ke khilaf


lakh sar patka kare dil zo'f-e-hujjat ke khilaf
chal nahin sakti koi tadbir qismat ke khilaf
na-tawan si ye sada aati hai ab bhi najd mein
wo bhi kya din the ki jab dil tha mohabbat ke khilaf


marhaba wo be-niyazi mudda'i-e-hosh ki
jo ghani kar de tawakkul ban ke daulat ke khilaf
aaina ye kah ke aakhir tod dala shokh ne
shirk ki surat nazar aai hai wahdat ke khilaf


aakhiri manzil pe dam le kar jo dekha to khula
rah duniya mein nahin koi haqiqat ke khilaf
ek wa'de par hi kya mauquf hai jaan-e-jahan
tum hamesha baat karte ho tabi'at ke khilaf


ab mujhe apne muqaddar par haqiqi naz hai
samne hone ko hain aakhir wo 'adat ke khilaf
chhup gae hain is liye aankhon mein aankhen dal kar
faisla mahfuz hai goya shahadat ke khilaf


dekhta gar 'shad' aur aabaad har maghmum ko
kyon zaban khulti bashar ki dast-e-rahmat ke khilaf
41218 viewsghazalEnglish