ek tamasha zat ka apni bana kar dekh lo qissa-e-gham apne logon ko suna kar dekh lo wo dhuan hoga ki phir be-maut mar jaenge log ye charagh-e-ishq hai is ko bujha kar dekh lo ek na ek din chikh ban kar samne aa jaengi khwahishon ko aap bhi apni daba kar dekh lo dard ke naghmat duniya mein koi sunta nahin tum ko khwahish hai sunane ki suna kar dekh lo sari duniya ke hasin manzar nazar mein aaenge tum kabhi bazm-e-mohabbat mein to ja kar dekh lo koshishen jitni karo tum bhul jaane ki magar bhulna aasan hai kya aazma kar dekh lo naqsh-e-awwal hun koi harf-e-ghalat to hun nahin tum mitana chahte ho to mita kar dekh lo dost dushman sab nazar aa jaenge 'nusrat' tumhein wo jo dil mein hai use honton pe la kar dekh lo