ek tasawwur-e-be-karan tha aur main dard ka sail-e-rawan tha aur main gham ka ek aatish-fishan tha aur main dur tak gahra dhuan tha aur main kis se main un ka thikana puchhta samne khali makan tha aur main mere chehre se numayan kaun tha aainon ka ek jahan tha aur main ek shikasta naw thi ummid ki ek bahr-e-be-karan tha aur main justuju thi manzil-e-mauhum ki ye zamin thi aasman tha aur main kaun tha jo dhyan se sunta mujhe qissa-e-ashuftagan tha aur main hath mein 'ajmal' koi tesha na tha azm tha koh-e-giran tha aur main