ek tera tasawwur hi aaKHiri sahaara hai

By badiuzzaman-saharJanuary 19, 2024
ek tera tasawwur hi aakhiri sahaara hai
warna dil ka aaina kab se para-para hai
zindagi khabar bhi hai bewafa zamane mein
main ne teri zulfon ko kis tarah sanwara hai


ek dil ki tanhai aur sau gham-e-dauran
main ne dard-e-duniya pe dard-e-dil ko wara hai
main hun is kinare par tum ho us kinare par
bich mein samundar ka kitna tez dhaara hai


dil tadap gae honge bagh mein 'anadil ke
main ne bewafa tujh ko jis tarah pukara hai
izhdiham-e-jalwa hai barish-e-tajalli hai
daman-e-nazar kis ne shauq se pasara hai


log thik kahte hain qabr par meri aa kar
maut se ye kya marta zindagi ne mara hai
dil ke aabgine ko thes lag gai kaise
kya kisi ne phir mujh ko dur se pukara hai


bol tere kanon se kis ki chikh takrai
hae kitna larzida tera goshwara hai
ai 'sahar' chale aate tum bhi sair-e-gulshan ko
baad-e-nau-bahaari hai shabnami nazzara hai


74986 viewsghazalEnglish