ek TuTi kaman rakhta hun

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
ek tuti kaman rakhta hun
phir hatheli pe jaan rakhta hun
munfarid apni shan rakhta hun
ek bala ka guman rakhta hun


un ko un ki ana mubarak ho
main bhi apna jahan rakhta hun
dair-o-masjid se hun agar waqif
mai-kade ka bhi dhyan rakhta hun


tarz-e-masnad hai ye zamin mujh ko
chhat ko ek aasman rakhta hun
der lagti hai mujh ko girne mein
sath mein pasban rakhta hun


mera bola koi nahin bole
main kahan ham-zaban rakhta hun
tegh rakhta hun main qalam apni
lek mithi zaban rakhta hun


khun diya hai 'khayal' harfon ko
ab main lafzon mein jaan rakhta hun
74929 viewsghazalEnglish