ek umr ki aur zarurat hai wahi sham-o-sahar karne ke liye wo baat jo tum se kah na sake use bar-e-digar karne ke liye kabhi zikr kiya teri zulfon ka aur jati sham ko rok liya kabhi yaad kiya tere chehre ko aaghaz-e-sahar karne ke liye foot-path pe bhi sone na diya tere shahr ke izzat-daron ne hum kitni dur se aae the ek raat basar karne ke liye us aankh ne jis ki qismat mein sach-much ke dar-o-diwar na the khwabon ke nagar aabaad kiye hasrat ki nazar karne ke liye is behis duniya ke aage kisi lahr ki pesh nahin jati ab bahr ka bahr uchhaal koi ise zer-o-zabar karne ke liye