ek umr mah-o-sal ki Thokar mein raha hun
By asghar-gorakhpuriOctober 27, 2020
ek umr mah-o-sal ki thokar mein raha hun
main sang sahi phir bhi sar-e-rah-e-wafa hun
aap apne hi na-karda gunahon ki saza hun
aawaz hun lekin tere honton se juda hun
kya kam hai ki ruswa-e-jahan hun teri khatir
main dagh hun lekin tere mathe pe saja hun
pani mein nazar aati hai ek chand si surat
pyasa hun magar der se dariya pe khada hun
ek tu hi nahin aur bhi khuban-e-jahan hain
tujh ko nahin paya hai to auron se mila hun
sab des mere des hain sab log mere log
kya jaaniye main kaun si mitti ka bana hun

17491 viewsghazal • English