ek unche makan ki baaten hain

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
ek unche makan ki baaten hain
apni bas aasman ki baaten hain
kuchh teri qurbaton se wabasta
kuchh to waqt-e-nihan ki baaten hain


kal jo dard-e-nihan hamare the
aaj sare jahan ki baaten hain
mai-kada mashghala raha mera
hosh-e-hasti kahan ki baaten hain


kaun karta hai pyar ki baaten
ab to tir-o-kaman ki baaten hain
tu na samjhega wa’iz-e-nadan
jo ye 'ishq-e-butan ki baaten hain


mere mazi ki guftugu sari
aaj daur-e-rawan ki baaten hain
shadmani surur-o-jam-o-subu
teri tere jahan ki baaten hain


kuchh kahan hai 'khayal' poshida
dil ki baaten zaman ki baaten hain
68386 viewsghazalEnglish