ek wahi KHush-jamal thoDi hai

By mukarram-husain-awan-zamzamNovember 9, 2020
ek wahi khush-jamal thodi hai
husn walon ka kal thodi hai
tazkira be-wafa ka ho raha hai
ye tumhaari misal thodi hai


ye jo hijrat hai aarzi hai janab
mustaqil intiqal thodi hai
dard-e-hijran ne ye kiya sabit
har kisi ko zawal thodi hai


kyun tujhe shamil-e-darud karun
to mohammad ki aal thodi hai
tujhe apna samajh ke manga hai
har kisi se sawal thodi hai


kya zaruri hai sab zaban se kahun
chashm-e-pur-nam ka haal thodi hai
ye mohabbat rahegi mahshar tak
ek shab ka visal thodi hai


aankh bhar ke wo dekhta hai mujhe
is ka matlab visal thodi hai
jao nakhwat tumhein mubarak ho
husn walon ka kal thodi hai


hijr ka mashwara mufid hoga
dost hai bad-sigal thodi hai
bose ab lena chhodiye sahab
gul hai ye us ka gal thodi hai


un ki nazar-e-karam mein shamil hun
is mein mera kamal thodi hai
use andha bhi dekh sakta hai
ye badar hai hilal thodi hai


khak mitti tale dabai gai
ruh ka intiqal thodi hai
khwab chubhte rahe hain aankhon mein
rang waise hi lal thodi hai


fikr lahiq hai rozi-roti ki
mujh ko tera khayal thodi hai
sans uncha lun main madine mein
meri itni majal thodi hai


us se bachna muhaal hai yaro
mere dushman ki chaal thodi hai
dil ko thokar zara si lag gai hai
is ka matlab zawal thodi hai


chhin sakta nahin koi mujh se
ilm hai ye manal thodi hai
sare ushshaq shad phirte hain
ye barahman ka sal thodi hai


jab bhi chaho utha do 'zamzam' ko
ye faqiron ka baal thodi hai
78874 viewsghazalEnglish