ek wo hi shakhs mujh ko ab gawara bhi nahin jabr ye us ke siwa apna guzara bhi nahin shakl-e-hijrat rang lain aakhirash sab koshishen hum agar laute nahin us ne pukara bhi nahin jis pe tum khamosh ho bas ek zara si baat thi baat bhi aisi ki jis mein kuchh khasara bhi nahin hain ajab dariya mein hum jo darmiyan se khushk hai aur ajab to ye kinare par kinara bhi nahin fazl ek bas be-hisi aur shaghl ek bas khamushi yani koi zindagi ka istiara bhi nahin aa ke mere ghar ka 'atif' ye tamasha dekhiye mere dar-diwar ko chhat ka sahaara bhi nahin bas bhi kar 'atif' ke teri rahbari se baz aae ghaar-e-shab mein subh ka koi sitara bhi nahin