ek zakhm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka maqtal mein pade rahiye qatil nahin aane ka ab kuch karo yaro sahra se ki sunte hain sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka waiz ko kharabe mein ek dawat-e-haq di thi main jaan raha tha wo jahil nahin aane ka buniyaad-e-jahan pahle jo thi wahi ab bhi hai yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka but hai ki khuda hai wo mana hai na manunga us shokh se jab tak main khud mil nahin aane ka gar dil ki ye mahfil hai kharcha bhi ho phir dil ka bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka wo naf pyale se sarmast kare warna ho ke main kabhi us ka qail nahin aane ka