faeda kya hai hamein aur KHasara kya hai

By ajmal-sirajMay 30, 2024
faeda kya hai hamein aur khasara kya hai
jo bhi hai aap ka sab kuchh hai hamara kya hai
hum ne kuchh aisi bana rakkhi hai haalat apni
puchhta koi nahin haal tumhaara kya hai


kuchh nahin dekhte kuchh bhi ho tere diwane
dekhte hain teri jaanib se ishaara kya hai
dur se jo nazar aata hai sitare jaisa
ashk-e-mahtab hai ya koi sharara kya hai


jism par war kiya aur use dher kiya
hum ko mara hai qaza ne wale mara kya hai
khatm ho jaega jab khel to khul jaega
koi jita hai to kya haara to haara kya hai


dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut
dubne wale ko tinke ka sahaara kya hai
mar gae hote to yaad aate tumhein bhi 'ajmal'
ji rahe hain to qusur is mein hamara kya hai


17718 viewsghazalEnglish