faKHta shaKH se uDte hue ghabrai thi

fakhta shakh se udte hue ghabrai thi
jab parindon ke bilakne ki sada aai thi

aable meri zaban par hain to hairat kaisi
main ne ek bar teri jhuti qasam khai thi

kab ye socha tha barabar se guzar jaega
meri jis shakhs se barson ki shanasai thi

ab wo kahta hai ki zanjir bani mere liye
us ke pairon mein jo pael kabhi pahnai thi

waqt badle to har ek rishta badalta hai 'hasan'
dil mein diwar kahan pahle mere bhai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close