falak pe hansne lage chand tare sham ke baad

By faheem-jogapuriSeptember 3, 2022
falak pe hansne lage chand tare sham ke baad
hamin udas hain dariya kinare sham ke baad
khanakti chudiyan khushbuen pyar ki baaten
tamam wasl ke hain istiare sham ke baad


hamare din pe zamane ka jo tasarruf ho
hamari raat hai aur hum tumhaare sham ke baad
nikaliye ghar se to daman mein aa hi jate hain
do ek bhatke hue mah-pare sham ke baad


sunahri machhliyan dar jati hain andheron se
so kaun jhil mein kashti utare sham ke baad
kahin bhi din mein bhatakta rahun magar wo gali
udhar hi raste mud jaen sare sham ke baad


udas raat ke aangan mein dard ki dewi
bade hi chaw se zulfen sanware sham ke baad
khula tha samne ek roz bab-e-shahr-e-badan
kise bataen jo dekhe nazare sham ke baad


tamam din pe hukumat rahi hamari 'fahim'
hum apne waqt ke suraj the haare sham ke baad
62627 viewsghazalEnglish