falak se un ko KHuda ke salam aate hain
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
falak se un ko khuda ke salam aate hain
jo dusron ki musibat mein kaam aate hain
kabhi kabhi koi aata hai un mein shahzada
wagarna sainkadon bikne ghulam aate hain
haqiqi kaam ye hai wo dilon pe raj kare
use par is ke 'alawa bhi kaam aate hain
mushahide se na sikhen to tajraba kar len
jo subh aa nahin pate wo sham aate hain
hamari jeb mein rakkhe hain tajrabe sare
hamein ye khel zamane tamam aate hain
ye duniya chhan-phatak kar banaegi kundan
yahan pe pahle-pahal sab hi kham aate hain
wo khas log unhi mein sharik hote hain
tumhaari bazm mein aksar jo 'am aate hain
tujhe dikhai na dete agar khuda hote
hum is liye tere aage mudam aate hain
kisi ne kyon na kaha mominin hadd-e-adab
husain jaise muqaddas imam aate hain

69670 viewsghazal • English