fan asl mein pinhan hai dil-e-zar ke andar fankar hai ek aur bhi fankar ke andar kanton pe bichhata hai gulabon ka bichhauna do rang hain ek sath mere yar ke andar wo shor tha mahfil mein koi sun nahin paya ek chikh thi pazeb ki jhankar ke andar tum sach ki zinat the mujhe dekhte kaise main bhi tha nai subh ke akhbar ke andar 'asrar' mujhe dil ne ye kal raat bataya shoala hun bulandi ka main ek khar ke andar