fana karun tan-e-KHaki baqa-e-jaan ke liye

fana karun tan-e-khaki baqa-e-jaan ke liye
ajal nawed hai aaram-e-jawedan ke liye

zaban ki fikr nahin sharh-e-dastan ke liye
nigah-e-shauq hai betab khud bayan ke liye

idhar farahami-e-khas mein hun main sargardan
tadap rahi hai udhar barq aashiyan ke liye

hai chashm-e-shauq mein apni to aastan koi aur
jhuke hazar ye sar sajda-e-butan ke liye

baras rahi hai wahan aashiyan pe virani
phadak rahi hai yahan ruh aashiyan ke liye

umid-o-yas ke jhagde se dil hua aazad
khudi mita ke maze aish-e-jawedan ke liye

kahin hai barq hai sarsar kahin kahin sayyaad
hazar khatre hain kambakht ek aashiyan ke liye

khulenge par to do-alam na honge phir kafi
faza-e-quds hai darkar murgh-e-jaan ke liye

bahaar khatm hui ab chaman ko kya dekhun
ki aankh hi nahin nazzara-e-khizan ke liye

qafas ke samne tinke hi rakh de o sayyaad
nigah-e-shauq tarasti hai aashiyan ke liye

chadha diya mere sayyaad ne qafas pe ghilaf
tadap ke rah gae hum sair-e-bostan ke liye

baha firaq mein ai dil yahan talak aansu
rahe na bund koi chashm-e-khun-fishan ke liye

kahan ye kunj-e-qafas aur chaman ki sair kahan
phadak phadak ke hai marna ab aashiyan ke liye

bitha diya mujhe wamandgi ne kanton mein
zamin pe sar ko patakta hun karwan ke liye

main saumi'a se jo nikla to mai-kade ko chala
mataa-e-zohd liye hadiya-e-mughan ke liye

munh apna pher ke bulbul pe barq hansti hai
gharib chunti hai tinke jo aashiyan ke liye

misal-e-qatra fana bahr-e-ishq mein ho ja
agar tadap hai 'wali' umr-e-jawedan ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close