fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi

fankar ke kaam aai na kuchh dida-wari bhi
karna padi shahzadon ko daryoza-gari bhi

ek silsila-e-dar-o-rasan phaila hua hai
minjumala khataon ke hai sahab-nazari bhi

jin hathon ne phade na kabhi jeb o gareban
un hathon se ho sakti nahin bakhiya-gari bhi

un se to bahr taur har ek rahzan achchha
jo rahzani karte hain aur rahbari bhi

jab ilm ho surat-gar-e-mashshata-e-dozakh
firdaus hai aadam ke liye be-khabari bhi

jab sar se guzar jata hai talwar ka pani
sar tham ke rah jati hai bedad-gari bhi

'wamiq' tujhe yaron se jo begana bana de
ek saghar-e-be-kaif hai wo namwari bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close