faqat jast bharne talak masala hai
By ali-tasifJune 3, 2024
faqat jast bharne talak masala hai
kahan phir ye nan-o-namak masala hai
padi hogi guddi ke niche hi duniya
utha le utha ke khisak masala hai
ye shams-o-qamar hain furu’i masail
miyan aadmi gunjlak masala hai
pas-e-‘ishq-e-laila chhupa kyon hai majnun
ye apne liye aaj tak masala hai
yunhi subh tak sab ko jalna padega
charagho hawa mushtarak masala hai
na sabit ho jab tak atal rah guman par
dikhana ziyaada lachak masala hai
uthane laga tha qadam intihai
khula is tarah yak-ba-yak masala hai
nikal to pada hun dubara main khud se
magar yar meri jhijhak masala hai
yahi zahr amrit banega kisi roz
piyala bhara hai gatak masala hai
kahan phir ye nan-o-namak masala hai
padi hogi guddi ke niche hi duniya
utha le utha ke khisak masala hai
ye shams-o-qamar hain furu’i masail
miyan aadmi gunjlak masala hai
pas-e-‘ishq-e-laila chhupa kyon hai majnun
ye apne liye aaj tak masala hai
yunhi subh tak sab ko jalna padega
charagho hawa mushtarak masala hai
na sabit ho jab tak atal rah guman par
dikhana ziyaada lachak masala hai
uthane laga tha qadam intihai
khula is tarah yak-ba-yak masala hai
nikal to pada hun dubara main khud se
magar yar meri jhijhak masala hai
yahi zahr amrit banega kisi roz
piyala bhara hai gatak masala hai
36001 viewsghazal • English